Kal ki hi to baat hai..



Kal ki hi to baat hai ye,
Jab hasi ke thahake lagte the,
Bachpan ke bisre kisso pe,
Jab geet suhane likhte the..
Kal ki hi to baat hai ye,
Jab hasi ke thahake lagte the..

Vo gudda tera aur meri gudiya,
Jab saj dhaj kar taiyaar hue,
Lete phere aur dekhe duniya,
Vo pal kitne suhane lagte the,
Kal ki hi to baat hai ye
Jab hasi ke thahake lagte the..

Kuch badal sa gaya in saalon me,
Kuch alag se ab halat hue,
Gudda Gudia ki us kahani me,
Shayad alag se ab jazbaat hue,
Pariyo ki kahaniyo se nikal,
Jab haqeeqat se hairaan hue,
Laga kal ki hi to baat hai ye,
Jab ye khel suhane lagte the..

Ab na vo Gudiya hai,
Na uski pariyo ki toli,
Badal gaya sab kuch ,
Jab uthi thi uski doli,
Apno ke beech reh kar bhi kyu,
Use log anjane lagte hain ,
Kal ki to baat hai ye,
Jab uske hasi ke thahake lagte the.

Sab chod chad ke aai wo,
Hai sabke mann ko bhai vo,
Par kuch to hai jo chuth raha hai,
Kuch andar hi andar toot hai,
Ab to bas aankhon me hi uske
Saare kshikwe dikhai padte hain,
Kal ki hi to baat hai,
Jab hasi ke thahake lagte the..

Sab jaan ke bhi sab anjaan hai kyu,
Sab ke liye kyu nadaan hai vo,
Vo thoot rahi, vo bikhar rahi,
Apne hi aap me jakad rahi..
Fir usko kyu nasihat batlate dikhte hai ye,
Kal ki hi to baat hai ,
Jab hasi ke thahake lagte the

Comments

Popular posts from this blog

The place called 'HOME'....

Oh the crazy little world !!